Arz Kiya Hai

Aadha sher humne arz kiya hai,
Barabar ka hissa, mehfil se liya hai.

Wednesday, September 21, 2005

Ye dard saha na jaye,
Ye aansun piya na jaye,
Ishq thi zindagi humari,
Par ab ye pyaar kiya na jaye.

Sunday, September 18, 2005

Kahin kho gaye hain woh sapne
Kahin chale gaye hain woh apne
Koi dhoond lao mere woh din
Jab sach hote the mere bhi sapne

Saturday, September 17, 2005

दो लवज़ो की है
जेब की कहानी
या है गरीबी
या बेइमानी

Friday, September 16, 2005

Waqt ki galiyon mein,
Meri yeh kahani hai.
Mehbooba ki yaad mein,
Meri zind-e-gaani hai.

Jeevan ki pahadi par,
Pyaar ki pagdandi thi.
Woh Maut ki jo khaai thi,
Bewafa ki nishaani hai.

Thursday, September 15, 2005

gehri raat ke sannate mein
miyan bhoot hue prakat
shayad daraane ki aasha thi
woh dheeme se aaye nikat

kuch tandav pashchaat ve pooche
koi fark nahin pada?
miyan aap se kya darna
sar pe advisor hai khada

kal ke suraj se pehle
yeh code kar dikhaana hai
jo research nahin ki
uspe presentation banana hai

agar yeh ho na saka
to PhD ko latakna padega
phir aap hi ke sang
dar-dar bhatakna padega

aap ki to drishti aar-paar hai
aap hi kuch karen upaye
bataiye yeh MATLAB ka code
kis tarah se kiya jaye

miyan bhoot ne nazar ghumayi
jaise aankh mein lagi ho heeng
aur aise nau-do-gyarah hue
jaise gadhe ke sar se seeng

Friday, September 09, 2005

kaam ek kar rahe ho
dhyaan hai aur kahin
comment code mein hote hain
kavita mein nahin...

koi puraani pustak
bageche ki narm ghaas
kahin suraj ka ujala
aur sharad ki mithaas
phir bhi maang rahe ho
is jeevan mein kuch khaas
hai koi aisa maqaam
jahan bujhegi tumhari pyaas?

Haal hamara hai kuch aisa,
Jaise ki jalta parwana,
hai lekin bas ek farak, jo jaan na paaye zamana,
woh parwane tab jalte hain,
chadta hai jab unhe khumaar
par yeh shayar tab jalta hai, aata hai jab usse..
bukhaar..

- As quoted by a friend, Anshul (Punetha)

Saturday, September 03, 2005

aaj kaal, din raat, nazarein computer par hoti hai,
din ka chain, raat ki neend, kaam mein hi khoti hai..
maren kya na karen, aakhir naukari ka sawaal hai,
khuda ki meharbaani hai, yeh blog abhi bhi jawaan hai!