Arz Kiya Hai

Aadha sher humne arz kiya hai,
Barabar ka hissa, mehfil se liya hai.

Thursday, July 28, 2005

Pyaar ke pinjare mein rehne do,
Sanam ki yaad mein doob jaane do.
Woh bewafa hain to kya hua,
Humein unke ishq mein mar jaane do.

Aye kabhi na khatm hone wali raah
Kya tujh par aitbaar karun?
Tera vaada poora to poori meri chaah
Ki main zindagi se pyaar karun.

Saturday, July 23, 2005

Iss khayal ko haqiqat mein badal dene ki aas hai,
ishq ke iss jaam ko chakh lene ki pyaas hai..

Friday, July 22, 2005

Haseena raat-din aise sawaal poochti hai,
dil ki sune, ya dimaag ki sune, meri jaan joojhti hai..

Humein jeevan ki sadak par kaante milte hai,
Hum Wafa Karte hai, Humein Bewafa milte hai.

Haseen zulfon ki lehrati choti
Kya raat ki neend, kahaan din ki roti?

Kal ke shayar ke jigri yaar
Madira, Kaagaz, Kalam aur Pyaar
..............................
..............................