Arz Kiya Hai

Aadha sher humne arz kiya hai,
Barabar ka hissa, mehfil se liya hai.

Thursday, September 15, 2005

gehri raat ke sannate mein
miyan bhoot hue prakat
shayad daraane ki aasha thi
woh dheeme se aaye nikat

kuch tandav pashchaat ve pooche
koi fark nahin pada?
miyan aap se kya darna
sar pe advisor hai khada

kal ke suraj se pehle
yeh code kar dikhaana hai
jo research nahin ki
uspe presentation banana hai

agar yeh ho na saka
to PhD ko latakna padega
phir aap hi ke sang
dar-dar bhatakna padega

aap ki to drishti aar-paar hai
aap hi kuch karen upaye
bataiye yeh MATLAB ka code
kis tarah se kiya jaye

miyan bhoot ne nazar ghumayi
jaise aankh mein lagi ho heeng
aur aise nau-do-gyarah hue
jaise gadhe ke sar se seeng

3 Comments:

Blogger Casablanca said...

"jo research nahin ki
uspe presentation banana hai"
Hohohohoho... ROTF.

Public demand karti hai,
Ki aap kuch aur sunaye,
Aap par jo guzarti hai,
Humko zaroor bataye.

September 15, 2005 2:32 PM  
Blogger Anshul said...

wah wah.

agar yun hi sunaate rahe
to karm khaakh mein mil jayenge
uchh shiksha ke vidyarthi se hum
full time shaayar ban jayenge.

September 15, 2005 2:39 PM  
Blogger Avyakt said...

Dost...
Lagta hai tei to waat lagi hui hai..
Great poetry though!!
The worst situations bring out the best in us.

September 15, 2005 2:48 PM  

Post a Comment

<< Home